wo jab yaad aaye bahut yaad aaye
wo jab yaad aaye bahut yaad aaye
ghame zindagi ke andhere me hamne
chirage muhabbat jalaaye bujhaaye
wo jab yaad aaye bahut yaad aaye
aahaten jaag uthin raaste hans diye
thaam kar dil uthe ham kisi ke liye
kayi baar aisa bhi dhokha huaa hai
chale aa rahe hain wo nazre jhukaaye
wo jab yaad aaye bahut yaad aaye
wo jab yaad aaye bahut yaad aaye
ghame zindagi ke andhere me hamne
chirage muhabbat jalaaye bujhaaye
wo jab yaad aaye bahut yaad aaye
dil sulagne lagaa ashq bahne lage
jaane kyaa kyaa hamen log kahne lage
magar rote rote hansi aa gayi hai
khayaalon me aake wo jab muskuraaye
wo jab yaad aaye bahut yaad aaye
wo juda kyaa huye zindagi kho gayi
shama jalti rahi roshni kho gayi
bahut koshishen ki magar dil na bahla
kayi saaz chhede kayi geet gaaye
wo jab yaad aaye bahut yaad aaye
wo jab yaad aaye bahut yaad aaye...(Tanhaiii)