Allah wo hai jisne is puri duniya ko banaya, chaand, taare, suraj, aasman banaya, yeh sab cheeze Allah ne bagher kisi raw material ke banai (yaani agar kisi ko pencil banana hai to uske liye lakdi lagegi) lekin Allah ne sirf hukm diya aur cheez ban gai, phir is duniya mein insano ko paida kiya, insano ko apni pooja ke liye banaya aur insan ke liye hawa, paani, trees, animal banaye. Yaani har cheez Allah ki banai hue hai, Har kaam Allah ke hukm(order) se hota hai, jesa hawa ka chalna, paani ka girna etc. Allah hamare dil ki baat bhi jaanta hai, hum kya karne wale hain, kya kar chuke hain aur kya karege, yeh Allah ko maloom hai.