Ek Lafz-E-Mohabbat Ka Adnaa Sa Fasaana Hai
Simtay To Dil-E-Aashiq Phailay To Zamaanaa Hai
Ye Kis Ka Tasavvur Hai Ye Kis Ka Fasaanaa Hai
Jo Ashk Hai Aankhon Main Tasbeeh Ka Daana Hai
Hum Ishq Ke Maaron Ka Itna Hi Fasana Hai
Ronay Ko Nahi Koi Hansnay Ko Zamana Hai
Wo Aur Wafa-Dushman Manegay Na Mana Hai
Sab Dil Ki Shararat Hai Aankhon Ka Bahana Hai
Kya Husn Ne Samjha Hai Kya Ishq Ne Jana Hai
Hum Khaak-Nasheeno Ki Thokar Main Zamana Hai
Wo Husn-o-Jamaal Unka Ye Ishq-o-Shabaab Apna
Jeenay Ki Tamannaa Hai Marnay Ka Zamana Hai
Ya Wo Thay Khafa Hum Se Ya Hum Thay Khafa Unsay
Kal Unka Zamaana Tha Aaj Apna Zamana Hai
Ashkoon Ke Tabassum Main Aahon Ke Tarannum Main
Maasoom Mohabbat Ka Maasoom Fasana Hai
Aankhon Main Nami Si Hai Chup-Chup Se Wo Baithay Hain
Nazuk Si Nigaahon Main Naazuk Sa Fasana Hai
Hai Ishq-E-Junuu-Peshaa Haan Ishq-E-Junuu-Peshaa
Aaj Ek Sitamagar Ko Hans Hans Ke Rulana Hai
Ye Ishq Nahi Aasaan Itna To Samajh Lijiye
Ek Aag Ka Dariya Hai Aur Doob Ke Jana Hai
Aansoo To Bahut Se Hain Aankhon Main "Jigar" Lekin
Bandh Jaaye So Moti Hai Reh Jaaye So Dana Hai...(Tanhaiii)!!!