follow me at facebook for more poetry.
https://www.facebook.com/AliSulehri11
Agar kabhi meri yaad aaye
to chaand raaton ki narm dilgeer roshni mein
kisi sitaare ko daikh laina
agar woh nakhl-e-falak say urh kar tumhaare qadmon mein aa giray
to yeh jaan laina
woh ista'ara tha mera dil ka
agar na aaye
magar yeh mumkin hee kis tarah hai ke tum kisi pe nigaah dalo
to us ki deewar-e-jaan na tootay
woh apni hasti na bhool jaae
agar kabhi meri yaad aae
guraiz karti hawaa ki lehron pe haath rakhna
mein khushbuwon mein tumhein miloon ga
mujhe gulaab ki pattion mein talaash karna
mein aus qatron ke aainon mein tumhen miloon ga
agar sitaron mein, aus qatron mein, khushbuwon mein
na pao mujh ko
to apne qadmon mein dekh laina
mein gard hoti musaafaton mein tumhein miloon ga
kahin pe roshan chiragh dekho to soch laina
ke har patangay ke saath mein bhi bikhar chuka hoon
tum apne haath say un patangon ki khaak darya main daal daina
mein khaak ban kar samandaron mein safar karoon ga
kisi na daikhay huway jazeeray pe ruk ke tum ko sadaain doon ga
samandaron ke safar pe niklo
to us jazeeray pe bhi utarna
agar kabhi meri yaad aaye..........
(Amjad Islam Amjad)