Is Zamane mein, is Mohabbat ne
Kitne Dil tode, kitne Ghar phunke
Jaane kyun log Muhabbat kiya karte hain----2
Dil ke badle Dard-e-Dil liya karte hain
Jaane kyun log Mohabbatkiya karte hain
Tanhayi milti hai Mehfil nahi milti
Rahe Mohabbat mein kabhi Manzil nahi milti
Dil toot jata hai, Nakaam hota hain
Ulfat yeh logo ka yahi Anjam hota hain
Koi kya Jaane, kyun yeh Parawane
Kyun Machalte hain, Gum mein Jalte hain
Aahein bhar bhar ke Diwane Jiya karte hain---2
Jaane kyun log Mohabbat kiya karte hain
Saawan me Aankho ko kitna Rulati hain
Fursat mein jab Dil ko kisi ki Yaad aati hain
Yeh Zindagi yun hi Barbaad hoti hain
Har Waqt Hoton pe koi Fariyad hoti hain
Na Dawao ka naam Chalta hai
Na Duaon se kaam Chalta hai
Zehar yeh phir Bhi sabhi kyun Piya karte hain---2
Jaane kyun log Mohabbat kiya karte hain
Mehboob se har Gum Mansub hota hai
Din Raat Ulfat mein Tamashaa Khoob hota hai
Raton Se Bhi Lambe yeh Pyar ke Kisse
Aashiq Sunate hai jafa yeh Yaar Ke Kisse
Be Murawat hai, Be Wafa hai wo
Us Sitamgar ka Apne Dilwar ka
Naam le leke Duhai diya karte hain---2
Jaane kyun log Mohabbat kiya karte hain