Danto Ki Safai Ke Liye Miswak Se Behtar Koi Cheez Nahi
Modern science research ne ye sabit kar diya ha ke teeth ki safai ke liye miswak se behtar koi cheez nahi. In research ke mutabiq miswak mein bacteria ko khatam karne ki ability kisi bhi doosray tarika ki nisbat 20% ziyada ha. Scientist ne maloom kiya ke miswak ke reshay bacteria ko barahe rast chuye baghair hi khatam kar detay hein or teeth ko kai beemario se bachate hein. Agar miswak ko sahi tor par use kiya jaye to ye danto ki safai, moo ki safai or gums ke sehat ka behtareen zariya ha. In research ki roshni mein miswak ke mandarja zel fawaid samnay aaye hein.:
Miswak gums ki diseases paida karne walay bacteria ko khatam karti hai.
Teeth par jami mel ki teh ko khatam karti ha.
Teeth ko inehtaat yani toot phoot se bachati ha.
Miswak saans ko taro taza karti ha or moo ko saaf rakhti ha.
Moo ki khushki ko door karti ha.
Miswak ke reshay choonkay dandi ke mutawazi hote hein is liye teeth ke darmiyan wali jaga ki behtar safai mumkin hoti ha.