Mani ko Garah krny ka Sb Sy Asan Nuskha | 100% Azmuda Nuskha

Tips 2016-07-28

Views 692

Mani Ki Quality
Isliye garam jagahoon per kam karna walai log maslan truck driver aur bakery mein kam karna walai logo ki garmi ki wajha sey sperms ki ta'adad kam hojati hai aur enki aksar batiyan paeda hoti hai. Essi tarhan computer per zyada kam karna walai logon ki bhi batiyan zyada hoti hain. Es liye nojawano ko chahiya ka woh apna testis ko thanda rakhai. Garmion mein tight kaprey special tight underwear na pahnai aur jab bhi bathroom jain apna testis ka ooper 2 to 3 mins thanda pani dal lain. (Shettles) Golion ka ooper neechey jana koi kharabi nahi bul kay enka healthy function ka liye zarori hai. Es tarhan aik goli kuch bari hoti hai aur dusri kuch choti, yeh bhi koi defect nahi. Es sey pahla yeh bhi bataya ja chuka hai ka usually 85% left goli thora neechey hoti hai yeh bhi bilkul aik normal cheez hai. (Mobeen:Hyde)


Mani (Seminal Fluid) Musht zani (masturbation) kay baad sab sey zyada ghalat batain mani (seminal fluid) ka barai mein mashoor hain. Aksar naujawan mani ki quality (seminal fluid quality) kay hawaley sey pareshan hotey hain kay yeh patli hai ya garhi, thori hai yeh zyada, taqat sey nikalti hai yeh baghair taqat ka. Neem hakeem isey bhi khoob exploit kartain hain.




Function Of Seminal Fluid - Mani Ka Function
Mani (seminal fluid) 3 jagha banta hai:


Testis
Prostate Glands
Seminal Vesicles Inn teeno jagha sey nikal kar peeshab ki nali mein jama hojata hai. Testis mein 2 types ka cells hotain hain. Aik kisim jinsi hormones testosterone paeda kartey hain jinka ta'alluq sexual drives aur mardana potency yani tanau (erection) ka sath hai. Yani es hormone ki wajha sey shawat aur penis mein tanau (erection) paeda hoti hai. Doosrey cell sperms paeda kartey hain jo bachai paeda karna ka sabab bantai hain. Insan jab aik bar ejaculate kar daita hai to kharij hona wali mani (seminal fluid) ki ta'adad 3.5ml hoti hai jismai 20 crore sey 1 million sperms hotey hain. Pregnancy ka liye 3 crore active sperms ki zarorat hai magar es surat mein usually larki paeda hoti hai. Agar sperms zyada hongai to larka paeda hona ka chances mein ezafa hojata hai. Sperm ka jinsi quwwat ka sath koi ta'alluq nahi. Agar sperms bilkul khatam bhi hojain to bhi insan ki mardana quwwat per koi asar nahi parta aur woh jinsi amal ka liye bilkul fit hota hai. Essi liye baaz afrat jinsi lihaz sey bohut mazboot aur active hotey hain magar woh bacha paeda nahi kar saktey hain

Share This Video


Download

  
Report form