Ab Ke Hum Bichray to Shahyed kabhi khawabon mein milen
jis tarah sookhay hue phool kitabon mein milen
Dhoond Ujray hue logon mein wafa ke moti
yeh khazanay tujhe mumkin hai kharabon mein milen
gham e duniya bhi gham e yaar mein shamil kar lo
nasha barhta hai sharabein jo sharabon mein milein
tu khuda hai na mera ishq farishton jaisa
dono insaan hein to kiyon itne hijabon mein milen
aaj hum daar pe khainchay gaye jin baton par
kya ajab kal woh zamanay ko nisabon mein milen
ab na woh mein hoon na woh tu hai na woh maazi hai faraz
jaisay do saye tamanna ke sarabon mein milen
Poet: Ahmad Faraz
Voice: Imran Sherazi