Hazrat Adam A.S ki Wafat ka Waqiya
Habeel ka qatal ka bad Allah na Hazrat Adam or hawa ko is ka namulbadal ata kia or un ka aik beta paida hua ha jis ka nam unho na sheesh A.S rakha jis ka matlab ha Allah ka diya hua tohfa Hazrat sheesh A.S salam na Hazrat Adam A.s sa uloom seekh kar logo ko sikhaye unhe mukhtalif paishon ka bara ma taleem di or unhrn rat or din ka ouqat or hasab kitab sikhae ka wo kin auqat ma Allah ki ebadat karen or in ko ebadat ka tariqay sikhae jab Hazrat Adam A.s ki wafat ka waqat qareeb aya to unhon na apna beton sa farmaya ka mera dil jannat ka phal khane ko chahta ha dunya or jannat ka phalon ma ya faraq ha ka dunya ka phal badbo dar hojate han jab ka jannat ka phal kabhe badbo dar nae hote or dunyawi phal ka zaiqa khatam hojata ha jab ka jannat ka phal ka zaiqa hamesha rehta ha is liye Hazrat Adam A.s ka dil chaha ka wo jannat ka phal khaen un ka bete talash ma nikal gaye un ka pas khulariyan or tokriyan then raste ma un ko farishta mil gaye un ka pas Hazrat Adam A.s ka kafan or khushbo then unho na pocha adam ka beton kis chez ki talash ma ho unho na jawab ma kaha ka hamare walid mareez han unhe jannat ka phalon ki khuwaish ha farishta un ka pas insani shakal ma aye the wo bole wapis jao tmhare walid fout honay ka qareeb han ab un ma itni taqat nae rahe ka phal kha saken jab farishta Hazrat Adam A.s ki roh qabz karna aye to HAWA A.S na un ko pohchan liya wo buland awaz sa Hazrat Adam A.s ko pukarne lagen or un sa chamat gayen Hazrat Adam A.s bole ka mujh sa alag ho jao pehle bhe mjhe tmhare waja sa musibat pohnche the mere or mere rab ka darmiyan ma sa hat jao farishton na Hazrat Adam A.s ki roh qabz ki unhen gusal diya or kafan pehnaya khushbo lagae phir unho na Hazrat Adam A.s ki qabar khode or un ki namazejanaza parahe us ka bad unhen qabar ma utara or un ka oupar mati dal di or bole adam ka beton tmhare liye yahe tariqa ha us waqat tak log kafan dafan sa waqif na the unhen pata nae tha ka qabeel na apna bhae ka kase dafan kia tha is liye farishton mo bheja giya take un ko kafan dafan ka tariqa sikha saken