*Na Pooch Mera Hussain (as) Kya Hai ?* Jahan-e-Azme Wafa Ka Paikar Khrad ka Markaz, Junoon Ka Mahwar Jamal-e-Zehra (as), Jamal-e-Haider (as) Zameer-e-Inssan, Naseer-e-Daawar Zameen ka Dil, Asmaan Ka Yaavar Dayar-e-Sabro Reza ka Dilbar Kamal-e-Eessar ka Payambar Shaoor-e-Aman –o-Sukoon ka Paykar Jabeen-e-Insaaniyat Ka Jhoomar Arab Ka Sehra, Ajam Ka Zewar
HUSSAIN (as) TASWEER-E-AMBIYA HAI NA POOCH MERA HUSSAIN (as) KYA HAI?
Hussain (as) Ahl-e-Wafa Ki Bastee Hussain (as) Aayeen-e-Haq Parsatee Hussain (as) Sidq-o-Safa Ka Saathee Hussain (as) Chashme Ana Kee Mastee Hussain (as) Pesh-Az- Adam Tasawoor Hussain (as) Baad Az Qayam-e-Hastee Hussain (as) ne zindagee bikheree Faza Se warna Qaza Barastee Urooj-e-Haft, Aasmaan-e- Azmat Hussain (as) ke Naqsh-e-Pa ki Masti Hussain (as) ko khuld me na Dhoondo Hussain (as) Mehnga, Hai Khuld Sastee Hussain (as) Maqsoom-e-Deen–o-Imaan
HUSSAIN (as) MAFHOOM-E- "HAL ATA" HAI NA POOCH MERA HUSSAIN (as) KYA HAI?
Hussain (as)Dil hai, Hussain (as) Jaan Hai Hussain (as)Quraan kee Zaban Hai Hussain (as) Irfaan Kee Saltanat Hai Hussain (as) Sarkaar –E-Do Jahan Hai Hussain (as) Sajdon Kee Sar Zameen Hai Hussain (as) Zahnon ka Asmaan Hai Hussain (as) Zakhmo Bharee Jabeen Hai