Aa kahin door chale jaayein hum
Aa kahin door chale jaayein hum
Door itna ki hamein chhu na sake koi gham
Aa kahin door chale jaayein hum
Aa kahin door chale jaayein hum
Door itna ki hamein chhu na sake koi gham
Aa kahin door chale jaayein hum
Phoolon aur kaliyon se mehke huye ik jangal mein
Ik haseen jheel ke sahil pe hamara ghar ho
Oas mein bheegi huyi ghaas pe hum chalte hon
Rang aur noor mein dooba hua har manzar ho
Main tujhe pyar karoon mere sanam
Tu mujhe pyar kare mere sanam
Aa kahin door chale jaayein hum
Door itna ki hamein chhu na sake koi gham
Aa kahin door chale jaayein hum
Shaam ka rang ho gehra to sitare jaage
Raat jo aaye to resham se andhere laaye
Chand jab jheel ke pani mein nahane utre
Meri baahon mein tujhe dekh ke sharma jaaye
Main tujhe pyar karoon mere sanam
Tu mujhe pyar kare mere sanam
Aa kahin door chale jaayein hum
Door itna ki hamein chhu na sake koi gham
Aa kahin door chale jaayein hum