Jabse hua tere nazdeek hai
Dil ke mohalle mein sab theek hai
Jabse hua tere nazdeek hai
Dil ke mohalle mein sab theek hai
Zara sa kitabon mein kam dhyan hai
Zyada tere khayalon mein hai
Tujhse jo milke maza hai
Kahan woh ganit ke sawaalon mein hai
Karke gustakhiyan, maange na maafiyan
Teri chahat ne badla mere dil ka jugraafiya
Karke gustakhiyan, maange na maafiyan
Teri chahat ne badla mere dil ka jugraafiya
Cycle par leke jaunga
Samose garam khilaunga
Main kar vaada shanivaar ko
Bhagwan ke bharose
Chhod ke samose
Bhool jayein somvaar ko
Tere liye ghar se nikalti hoon
Jab kehta hai milti hoon
Ghar waalon se chhup ke tujhe
Parwaah nahi hai meri
Zyadati hai teri
Kya samajh rakha hai pyaar ko
Tujhe kis tarah bataun main
Kitna zaroori tera pyar hai
Mere andhiyare se jivan mein
Tu hi safedi ki chamkaar hai
Karke gustakhiyan, mange na maafiyan
Teri chahat ne badla mere dil ka jugrafia
Jag ko main genius lagta hoon
Chehra yeh serious rakhta hoon
Andar se dil-phenk hoon
Maana hoon chhote ghar ka
Jeb se hoon kadka
Ladka main bada hi nek hoon
Tere chehre pe saare marte hain
Baaqi ladke bhi vaade karte hain
Lekin nibhate nahin
Mauke pe kaam aaye
Vaada jo nibhaye
Eklota main hi ek hoon
Mat ghabarana mahurat hamare milan ka nikat hai piya
Bas ek googly se papa ka tujhko girana wicket hai piya
Karke gustakhiyan, mange na maafiyan
Teri chahat ne badla mere dil ka jugrafia
Written by:
Amitabh Bhattacharya
RELATED SONGS
Apna Bombay Talkies
Radha
Bihari Valentine
Gaaye Jaa
Samandar