[आंखों में दर्द] के कारण, लक्षण और घरेलू इलाज - [eye pain] treatment in hindi - aankh mein dard hona

Views 809

TITLE: [आंखों में दर्द] के कारण, लक्षण और घरेलू इलाज व उपचार | [eye pain] treatment in hindi | [aankh mein dard hona]

ABOUT VIDEO: Namaskar dosto mein hu akshay suryawanshi aur swagat hai aapka humare is youtube channel "Stay healthy at home" par, dosto aaj ke is video mein hum jannenge ki (aankhon mein dard) kis wajah se hota hai, iske kya karan, iske kya lakshan hai aur isse jald chutkara pane ke meine kuch gharelu nuskhe aur upay bhi bataye hai.

1. (Aankhon mein dard) ki wajah | (आंखों में दर्द) की वजह :

Sirdard, sinus ka dard, dant dard, migraine, aankh aana, cornea mein kharoch, aankh mein chot, guheri, ashru nalikaye avrudh hona, aankhe laal hona, aankhon mein dhool jana, sankraman hona, chot lagna, aankhon par dabav badhna, aankhon ki surgery ki wajah se bhi (aankhon mein dard) ho sakta hai.

2. (Aankhon mein dard) ke lakshan | (आंखों में दर्द) के लक्षण :

aankhon mein jalan,tej dard, aankhon mein thakan, aankhe laal hona, aankhon mein dhundla pan, surya ke kirno ke prati savendanshilta, hava mein bulbule-dhabbe ya chaya dikhna, aankhon mein se pani behna ye sabhi lakshan (aankhon mein dard) ke lakshan hai.

3. (Aankhon mein dard) ke gharelu upchar va ilaj | (आंखों में दर्द) के घरेलू उपचार व इलाज :

a). sehed (honey) ka istemal kar sakte hai kyonki sehed ek jivanu rodhi agent hai aur ek prakartik clinger hai, aapk sehed ki ek boondh aapni aankho mein dale jisse ki aapki aankhe saaf ho jayengi, batana chahunga ki dosto isse aapki aankhon mein thodi jalan mehsoos ho sakti hai, lekin ghabrane ki koi baat nahi hai.

b). Aap kheere (cucumber) ka istemal kar sakte hai, aap kheere ki do cuti slice apni dono aankhon pe rakh de, aur let jaye, aisa karne se aapki aankhon ko thandak mehsoos hogi aur aapke (aankhon ka dard) dheere dheere se kam ho jayega.

c). Aap aaloo ka istemal bhi kar sakte hai, aap aaloo ki do slice cut karke use apni aankhon pe rakh de aur fir let jaye, isse bhi aapko (aankhon ke dard) se jald rahat milegi.

d). Aap aaloo ke ras ka istemal bhi kar sakte hai, thodasa ras le aur usse apni aabkhon ki malish kar le.

e). Aap triphala ko 4 ghante pani mein bhigo de aur chankar wahi pani aankhon mein dale, aisa karne se bhi aapko (aankhon ke dard) se rahat mehsoos hogi.

f). Aap castor oil yani ki arandi ke tel ka istemal bhi kar sakte hai, arandi ki tel ki kuch bunde le aur usse apni aankhon ki massage kare, aisa karne se bhi aapko
(aankhon ke dard) se rahat milegi.

g). Aap gulab jal ka istemal bhi kar sakte hai (aankhon ke dard) se chutkara pane ke liye.

h). Aap thanda doodh le aur usse apni aankhon ki malish kare, aisa karne se bhi aapko (aankhon ke dard) se jald rahat milegi.

i). (Aankho ke dard) se bache rehne ke liye aap jyada tanav na le, poori neend le aur apni aankhon ko na ragde.

Toh dosto mein umeed karta hu ki yeh video dekhne ke baad aap asani se (aankhon ke dard) se rahat pane mein saksham ho jayenge.

Topics cover for this video:

1. aankh mein dard hona
2. aankh mein dard kyu hota hai
3. aankh mein dard ka ilaj

Share This Video


Download

  
Report form
RELATED VIDEOS