AZADARI RAHEGI Mesum Abbas 2022 Karbala New Nohay Muharram 2022 Title Noha 2022 Azadar
Azadari Rahegi!
Hit LIKE NOW and SHARE Before the Noha Premieres!
Most IMPORTANTLY: Iltimase Dua
#MesumAbbas #Azadar #AzadariRahegi
LYRICS: POSTED BELOW...
Noha Credits:
Title Noha: Azadari Rahegi
Reciter: Mesum Abbas
Poet: Mazher Abidi
Audio Credits:
Composition: Mazher Abidi / Mesum Abbas
Chorus: Rizwan Mirza - Hasnain Mehdi - Sunny - Shahrukh
Audio Recording by M. Hassaan Qureshi / M. Ovais Qureshi (ODS - KHI)
Audio Mix/Mastered by M. Omar Qureshi (ODS - KHI)
Video Credits:
Director: Safdar Kaleem
Special Thanks to the Zuljana Committee at Imambargah Hussaini (Korangi-KHI) Zuljanah: Masoom Shah and the Alam Committee of Jafar e Tayyar Karachi
Editor: Safdar Kaleem (The Focus Studio)
SEO Management / Coordinator / Cover Design: Yawer Abbas Damani (YAD Graphics)
Social Media Management: Mussaib Sajjad (Bangalore-IND)
English Translation: Ahmed Virani (USA)
Sarparast: Syed Baqar Naqvi (President: Imambargah Dar e Hussain - New Jersey, USA)
LYRICS:
HUSSAIN HUSSAIN HUSSAIN
Labbaik Labbaik
Labbaik Labbaik
Imaa'n Ki Hararat Hai, Azadari E HUSSAIN
Islaam Ki Hurmat Hai
Azadari E HUSSAIN
Insaan Ki Zarurat Hai
Azadari E HUSSAIN
ZAINAB Ki Amanat Hai
Azadari E HUSSAIN
Qadam Barhate Raho-HUSSAIN HUSSAIN
ALAM Uthate Raho-HUSSAIN HUSSAIN
Charagh E Ashk E Aza-HUSSAIN HUSSAIN
Yuhi Jalaye Raho-Yuhi Jalaye Raho
Na Andhiyo'n Se Daro
Na Zalimo'n Se Daro
Na Hadso'n Se Daro
Na Mushkilo'n Se Daro
ALAM Saja Ke Kaho
Farsh E Ghum Bicha Ke Kaho
ALI Ke Laal Se Ahd E Wafa Nibha Ke Kaho
Tere Gharane Se Wafadari Rahegi
MAULA Sada Teri Azadari Rahegi
1). Hum To Azal Se Hi Azadar Hain MAULA
Majlis o Matam Ke Talabgar Hain MAULA
Ankh Jo Duniya Mein Khuli Dekha Ye Manzar
Ghar Mein Azakhana Sajati Hui Madar
Wirsa Ye Mila HUSSAIN
Ghum Sath Raha HUSSAIN
Ye Ashk E Aza HUSSAIN
Matam Ki Sada HUSSAIN
Hashr Talak Ab Ye Talabgaari Rahegi
MAULA Sada Teri Azadari Rahegi
2). Raaho'n Mein Julooso'n Ke Sabilain Bhi Lagayein
Pani Bhi Azadaro Ko Sharbat Bhi Pilayein
Har Saal Teri Hazri Duniya Ko Khilayein
Bachcho Ko Teri Yad Mein Saqqa Bhi Banayein
Khidmat E Aza HUSSAIN
Hai Qarz Bara HUSSAIN
Hai Azm E Wafa HUSSAIN
Ho Sath Tera HUSSAIN
Har Saal Muharram Ki Ye Tayyari Rahegi
Maula Sada Teri Azadari Rahegi
HUSSAIN HUSSAIN YA MAULA
HUSSAIN HUSSAIN YA MAULA
3). Ye Ahle Aza Shan E Aza Aise Barhayein
Har Waqt Azadari Hai Bar Waqt Namzain
Mumkin Hi Nahi Sajde Mein Jab Sar Ko Jhukayein
Aye MAULA Hamain Sajde Tere Yad Na Ayein
Matam Bhi Tera-HUSSAIN
Sajda Bhi Tera-HUSSAIN
Kaaba Bhi Tera-HUSSAIN
Qibla Bhi Tera-HUSSAIN
Sath Namazo'n Ke Aza Jari Rahegi
MAULA Sada Teri Azadari Rahegi