HAZRAT MUSA OR HAZRT KHIZAR KI MULAQAT KA MUKAMMAL WAQIYA
Islamic World pro
NABI KARIM صلی اللہ علیہ وسلم ne hazrate musa wa hazrte khizar ki mulaqat ka waqiya faramaya hai ki
Hazrte khizar alaihissalam hazrate musa alaihissalm se farmatein hai ki AP jho ilm jantein hai woh main nahi janta aur jho main ilm janta hu use AP nahi jantein. Phir hazrate musa ne farmaya ki mujhe woh lim jaan na hai jise AAP jantein ho aur mein nahi janta. Aur iske liye main AAP k sath rehna chachunga. Is par hazrte khizar alaihissalam ne farmaya ki AP mere sath sabr nahi kar sakenge. Hazrate musa ne farmaya ki main AP k farman k tabe’a rahunga. Hazrate khizar ne farmaya ki tou phir jab tak main kuch sawal na karu tab tak AAP kisi chiz k bare me kuch nahi bolenge. HAZRATE MUSA is baat sehmat huwe aur HAZRTE KHIZAR k saath saael k kinare-kinare chal diye.
Ek jagah pe ek kashti mili – kashti walo ne bagair kiraye k dono hazraat ko kashti me sawar kiya, HAZRTE KHIZAR ne kashti ki takhto me se ek takht ko nikal diya. Is par HAZRTE MUSA ne farmaya ki ye AP ne kya kiya ki jinhone HUME bagair kiraye ki kashti me bithaya aur AP ne unki isi kashti k takhte ko ukhad diya? Ye AP ne bahut ajib kiya. Is par HAZRAT KHIZAR ne farmaya ki maine kaha tha ki AP mere sath sabr nahi kar payenge. HAZRATE MUSA ne farmaya ki jho baat me bhul gaya hu us par AP mu’aakhizah na kare aur mere mu’amle me sakhti na kare.
Phir dono hazraat age chal diye rastein me ek larke ko dusre larke se khelte huwe dekha, HAZRATE KHIZAR ne usko dekha aur apne haath se us larke ka sar dhad se alag kar diya. HAZRATE MUSA ne farmaya ki AP ne is be-gunah larke ko bagair kisi qisas k qatl kar diya? AAP ne bahot bura kaam kiya. Is par HAZRATE KHIZAR ne kaha ki maine nahi kaha tha ki AAP mere sath sabr nahi kar sakoge. HAZRATE MUSA ne kaha ki ab agar me kisi chiz k mutallik sawal karu tou AAP mujhe apne saath na rakhna.
Phir dono HAZRAAT age nikal gaye – ek gao aaya jaha par dono HAZRAAT tamam jamat ke paas pahuch magar kisi ne dono ki maheman nahazi nahi ki aur khana bhi nahi diya. Is par HAZRATE MUSA ne farmaya ki kisi ne hamare maheman nawazi nahi ki ab AP ne is diwar ko thik kiya hai tou AP unse kuch ujrat le saktein hai. HAZRATE KHIZAR ne farmaya ki ab AAP aur MERE darmayan firaq aa gaya
Raza Saqib Mustafai emotional bayan
Saqib Raza Mustafai emotional bayan
Molana Saqib Raza Mustafai Islamic bayan
#hazratmusa #hazratkhizar