Hussain Gareeb Gareeb | Mohammed Ajani 2015 | Sar Katane Chalo Karbala

Mohammed Ajani 2015-01-01

Views 8

Nauha Recited by Mohammed Ajani
Written by Zafar Abbas Zafar
Video Directed by Fahim Ajani
Cinematographed and Edited by Sumedh D Mankar
Produced by Mohammed Ajani Studios
Post Production done at Mohammed Ajani Studios

Lyrics:

1) Ay Dibare Zahra Ya Qatelul Abara
Haye Labe Dariya Mara Gaya Piyasa
Haidar Ka Wo Jani Ahmad Ka Nawasa
Islam Ki Khatir Ghar Jisne Lutaya
-------------------------------------
Har Simt Feza Me. Ab Aaho Buka Hai
Har Ek Ke Labo Par Bas Ek Sada Hai
--------------------------------------
Abaabdillah Husain Ghareb Ghareb Ghareb

2) Tukdo Me Bata Hai,Ab Haye Bhatija
Dariya Pe Pada Hai,Abbas Ka Lassha
Hamshakle Nabi Ko Mara Gaya Naiza
Ik Paani Ka Katra,Asgar Ne Na Paya
----------------------------------------­----
Wallaha Kayamat,Ki Kaisi Ghadi Hai
Shabeer Ke Sar Par,Ab Maut Khadi Hai
----------------------------------------
Abaabdillah Husain Ghareb Ghareb Ghareb

3) Ik Lamha Bhi Jina,Ab Hogaya Dubhar
Barsate Hai Adaa,Tiro Tabar Pathar
Ab Run Me Hai Tanha ,Zainab Ka Baradar
Amadaye Paikaar,Hai Zulm Ka Lashkar
----------------------------------------­---------
Hai Kaun Jo Aakar Sarwar Ko Bachaye
Sub Sota Hai Lashkar,Gardan Ko Kataye
----------------------------------------­--
Abaabdillah Husain Ghareb Ghareb Ghareb

4) Wo Bhuk Ka Alam,Wo Pyaas Ki Shiddat
Chehre Se Aya Hai,Ab Zaufo Nakahat
Dhekhe Nahi Jaati,Mazlum Ki Halat
Ya Shahe Najaf Ab,Aao Paye Nusrat
----------------------------------------­--
Zakhmo Ki Hai Kasrat,Be Jaan Badan Hai
Jalti Huwi Reti,Aur Tashna Dahan Hai

Abaabdillah Husain Ghareb Ghareb Ghareb




5) O Kufiyo Shaami,Kuch Rahem To Khaoo
Zahra Ka Pisar Hai,Isko Na Sataoo
Hai Subha Se Rota,Ab Aur Na Rulaoo
Waqte Naza Hai Ab Paani To Pilaoo
----------------------------------------­---
Tum Karte Ho Jaisa,Aisa Nahi Karte
Haiwa Ko Bhi Pyasa,Zibha Nahi Karte
----------------------------------------­-
Abaabdillah Husain Ghareb Ghareb Ghareb

6) Ye Kaisa Sitam Hai,Ae Mere Khudaya
Ghar Aisa Kisi Ka Duniya Me Na Ujhda
Mehbub-E-Khuda Ko Markad Me Rulaya
Jub Shimre Ne Khanjar,Gardan Par Chalaya
----------------------------------------­-
Balo Se Zameen Maa,Ik Jhaad Rahi Thi
Bhai Tha Tahe Teq,Behen Dar Pe Khadi Thi
----------------------------------------­------
Abaabdillah Husain Ghareb Ghareb Ghareb

7) Ab Aur Mohammed,Kya Kya Likhe Jauhar
Kata Sare Shabeer,Barpa Huwa Mehshar
Ta Arche Tha Giriya,Aur Farche Zamee Par
Waqt Aagaya Kaisa,Aye Khaliqe Akbar
--------------------------------------
Sare Hazrate Shabeer,Naize Pa Chadaya
Beemar Pisar Baap Ka Sir Dhekh Raha Tha
----------------------------------------­-----
Abaabdillah Husain Ghareb Ghareb Ghareb

Share This Video


Download

  
Report form