Khudaya Kitni Tariki Hai | Mohammed Ajani 2015 | Sar Katane Chalo Karbala

Mohammed Ajani 2015-01-01

Views 4

Nauha Recited by Mohammed Ajani
Written by Zafar Abbas Zafar
Video Directed by Fahim Ajani
Cinematographed and Edited by Sumedh D Mankar
Produced by Mohammed Ajani Studios
Post Production done at Mohammed Ajani Studios

Lyrics: Khudaya..Ye Qaidi Kaun They Jinko Yaha Rakha Gaya Honga
Ghamo Ke Baad Phir Unko,Ghumo Ka Saamna Honga
Vo Tashna Lab Ager Honge,To Ashko Ko Piya Honga
Khudaya..Jaha Par Subre Mushkil Hai Waha Ye Sukre Karte Hai

Khudaya Kitni Tariki Hai Is Veeran Zindaa Me
Mere Hathon Me Shama Hai Mager Phir Hi Andhera Hai


Khudaya Kitni Tariki Hai Is Veeran Zindaa Me
Mere Hathon Me Shama Hai Mager Phir Hi Andhera Hai

1) Andhero Me Ye Kis Ki Siskiya Fariyad Karti Hai
Ye Kis Ghum Ki Satayi Ki Bhala Cheekhe Ubharti Hai
Ye Kis Ka Phool Tha,U Patiya Jiski Bhikharti Hai
Kaha Ki Qaidane Hai,Jo Yaha Din Raat Marti Hai
Ajab Tanhaieyo Se Aur Aaho Se Guzarti Hai
Ye Masturaat Aksar Apni Hi Aahat Se Darti Hai

Khudaya Kitni Tariki Hai Is Veeran Zindaa Me
Mere Hathon Me Shama Hai Mager Phir Hi Andhera Hai

2) Dare Zinda Pe Hai Masum Nazren Kis Ki Raho Me
Ye Amu Amu Ki Fariyad Bhi Hai Kis Ki Aaho Me
Ye Kis Masum Ke Din Raat Hai Ghum Ki Panahoo Me
Basa Hai Khu Bara Maqtal Bhala Kis Ki Nighaho Me
Sukune Dil Huwa Pamal Kis Ka Qatle Gaho Me
Madine Me Ye Nazo Se Pali Thi,Badshaho Me

Khudaya Kitni Tariki Hai Is Veeran Zindaa Me
Mere Hathon Me Shama Hai Mager Phir Hi Andhera Hai

3) Ye Kis Ki Jaanamaze Hain,Ke Jin Se Khu Tapak Ta Hain
Ye Ik Pathar Jo Hain,Allaha Jane Kis Ka Takiya Hai
Ye Un Ghum-Gee Fizaoo Me Na Jane Kis Ka Girya Hai
Ye Diwarow Pa Khu Hai,Ya Ksi Bacchi Ka Nauha Hai
Ye Mashkiza Zamee Tukde Hai,Ya Koi Kuza Hai
Ye Yaade Alkama Hai,Ya Koi Aaho Ka Dariya Hai

Khudaya Kitni Tariki Hai Is Veeran Zindaa Me
Mere Hathon Me Shama Hai Mager Phir Hi Andhera Hai


4) Musafir Jaa Chuke Lekin Yaha Ahoofuga Q Hai
Ye Basti Lut Gayi Lekin Yaha Itna Dhuwa Q Hai
Daro Diwar Se Uske Ye Zakhmo Ka Baya Q Hai
Ye Us Viraan Zindaa Me Yateemi Ki Aza Q Hai
Bhala Pardesiyo Ke Gulsita Me,Ye Khiza Q Hain
Ye Nanhi Si Lahad Is Haal Me Nauha Kuna Q Hai

Khudaya Kitni Tariki Hai Is Veeran Zindaa Me
Mere Hathon Me Shama Hai Mager Phir Hi Andhera Hai

5) Suno Ai Shaam Walo, Shaam Me Fursat Agar Paana
Agar Mumkeen Hain Apni Betiyoko Saath Le Aana
Rida Aur Ek Kuza Aab Rakh Kar Nazre Dilwana
Kisi Masoom Bachhi Se Waha Ek Shamma Jalwana
Yaha Laakar Kisi Mazlum Par Tum Zulm Mat Dhana
Bohot Ye Ro Chuki Hain, Kabr Me Isko Naa Rulwana

Khudaya Kitni Tariki Hai Is Veeran Zindaa Me
Mere Hathon Me Shama Hai Mager Phir Hi Andhera Hai

6) Koi Batlaaye Koi Khetiya Aisi Ujhadti Hain
Bhare Ghar Ki Kaha Is Tarha Taqdeere Bighdti Hain
Ye Nanhi Si Lahed Is Haal Me Nauha Kuna Q Hain
Ager Iske Sabhi Hai Karbala Me Ye Yaha Q Hain
Bani Hashim Ki Ye Shehzadi Hoke Beamaa Q Hain
Ghamo Ki Dhup Kyu Hai Aur Dhuko Ka Saiba Kyu Hai

Khudaya Kitni Tariki Hai Is Veeran Zindaa Me
Mere Hathon Me Shama Hai Mager Phir Hi Andhera Hai

7) Mohammed Aur Zafar Ye Ek Bekas Kee Kahaani Hain
Ye Nauha Pyaas Ki Tasveer Hain

Share This Video


Download

  
Report form